Terms and Condition

Humari terms and condition bhot hii aasan hai, taki aap humari services ko aasani se aap le ske. Yha aapko humare saare services kii terms and condition milegi.

Aayiye dekhte hai humari Terms & Condition:

1 Website Developer: abhi humare paas aapko website wordpress pr banai jati hai yeh easy hai or aap bhi aasani se use kr skte hai. Jub aap hum se kisi bhi trh kii koi bhi website bnaate hai toh agr aap chaahe toh aadhi payment abhi kr skte hai jub banvayenge or baaki tab jub website puri trh se aapke hisaab se ready ho jaaye. Aapko humari side se 1 saal tak ka support bhi milta hai pr uske liye aapko 2000 rupey dene honge. Mtlb kii agr aapko website hum aapko bnanate hai toh bane ke baad aapko agr use khbi bhi koi bhi chages krane hai, toh 3 mahine tak toh sub free hai, pr 3 mahine ke baad aapko koi bhi chages krane hai toh aapko uske pese denge honge. Agr pure saal mei aap koi na koi changes ya update apni Website mein krate hai toh aapko 2000 rupey mahine ke hisaab se denge honge.

2. SEO: Simple language mei SEO ka mtlb hai kii aapko Search Engine pr aapke keyword jise aap search term khte hai unpe aapki website, blog, image, youtube video or bhi bhot kuch ko rank krana hai. Humare saath SEO bhot easy hai isme aapko Free web 2.o ka support humari side se milta hai. Aapko hume keyword (Search terms)  ke hisaab se pay krna hai, hum aapse Hight Competitor Keywords ke 1199 Rupey pr Keywords lete hai or short ya low Competitor Keywords ke 799 Rupey lete hai, pr yha aapko kum se kum 10 se 14 keywords ka SEO krana hota hai.

Facebook
YouTube
Instagram
Pinterest
Twitter
LinkedIn

 3. Social Media: Social Media mei hum aapke post bannane se lekr use ache reaches tak phuchane tak saara kam krte hai. Social Media mei hum aapke liye in in website ya platforms pr kam krte hai.

Inke aalava or kisi website pr Social Media krane ke liye aapko 899 pr Website pay krna hoga.

Basic Pack: In website pr Social Media ka Basic Pack 2999 rupes hai pr month. Isme aapko Every Monday to Saturday post update milegi, aapke saare Account ko maintain krna hai, or #tag ya or Chota mota kaam hai.

Premium Pack: In pack mei aapko humari side se pura support milega. Yha aapki post boost krane se leke ads bhi free mei chaalenge hum aapke liye aapko bus apne Ads kii Amount value hii pay krni hai. Humari Ads kii koi fee nhi hai. Or aapko jo basic pack mei mill rha tha vo sub toh aapko milega hii. Isme Appko 4999 Rupes pay krne hai par month.

4. Post, Images, Logo & Banner Creation: Post, Images, logo ya Banner Creation mein koi Special T & C nhi hai, aapko jub aapke hissab se banai hui Post, Images, logo ya Banner psan aate hai tabhi aapko pay krna hai. Iski Amount Value aapko creation vale page pr dikh skte hai.

5. Video Editing & Video Creation: Yha bhi koi Special T & C nhi hai. Aap jub koi Video Editing ya Video Creation krate hai toh aapko jub tak acha nhi lage ya pasand nhi aaye, tab tak aapse koi bhi payment nhi lii jaegi. Payment ke baare mei aapko Video Vale page mei dekh skte hai.

6. Email Marketing: Email Marketing mei bhi koi Special T & C nhi hai. Bus aapka Business Govt & Google Guidelines ke under hona chaiye bus.

Bus Humari T&C itni hii thi, yeh pdene mei bhi or samjhne mei bhi easy hai. Aap isko aasni se pd skte hai.

7. Ads:  Ager aap Google Ads (PPC), Social Media Ads like Faceboook, Instagram prm LinkedIn pr Twitter pr ya or kisi bhi 3rd party website ya platform pr ads run krate hai toh aapko apne Ad Budget ka 24% hume dena hoga. Vo bhi tab jub aake campaign ya ads Active mode pr ho.

8. Lead Generation: Jub aap Leads Generation Chate hai toh humara kaam aapko Lead dena hai. Hum aapke business ke liye achi leads de skte hai ab unko Generate krna aapka ya apki Sales Team Ka kaam hai. Lead aapko ads se milegi taki humari side se aapko Quality mei koi bhi problem naa aaye.

9. Data Scraping: Data Scraping mei koi Special T & C nhi hai. Bus jis business ya jis category ka aapko data chaitye aapke paas koi acha reason hona chaiye. Aapko data tabhi mil skta hai jub aapka business legal ho or GOVT ke Guidelines ke under ho. Kyoki hume bhi kuch Ads Run krne hote hai taki aapko acha data mile.

10. ORM: Iska Mtlb hai ONLINE REPUTATION MANAGEMENT isme T & C yeh hai kii aapka Business ya Services GOVT ke Rules ko follow kre on Google ya or kisi bde search engine ke rules ko bhi. Kise bhi Glt type ke business ko hum support nhi krte hai. Or hum bus Positive ORM hii krte hai.

11. SMS Marketing: SMS Marketing ke 2 way hai ek DLT verified SMS kike jo aapke business ke naam se jaaye & 2nd hai Non DLT verified isme aapka SMS No. se jaaega. Aapka SMS shi hona chaiye. aap koi bhi political, Sexual ya esi koi baat jo SMS marketing ke Against hai, esa koi Content ka SMS humare yha se shoot nhi hoga.

12. Voice Call Marketing:  Aapka Voice Call Marketing shi hona chaiye. aap koi bhi political, Sexual ya esi koi baat jo SMS marketing ke Against hai, esa koi Content ka Voice Call Marketing humare yha se shoot nhi hoga.

13. Keyword Research: iske liye bhi koi Special T & C nhi hai. Bus jis industry ya category ke aap keyword reach chate hai, vo humari or GOVT ke nazro mei shi honi chaiye. or aapko 111 keyword milenge taki aapko samjne mei shi ho.

14. Professional Blogging: iske liye bhi koi Special T & C nhi hai. Wording ke hisaab se aako payment krni hogi bus or voi  political, Sexual ya esi koi baat pr content nhi likhte hai jiske permission GOVT, GOOGLE ya Humara Zamir nhi deta hai.

15. Animation Video Maker: iske liye bhi koi Special T & C nhi hai. Bus video ka Content shi hona chaiye or vo hii normal kii guidance ke under hii aapke business ho.

16. App Marketing: iske liye bhi koi Special T & C nhi hai. Bus aapka App political, Sexual ya or kisi Social Issue pr nhi hona chaiye.

Bus yeh hai humari Simple se Terms and Condition jo Puri trh se bina hide kre aapke samne rkhi hai vo bhi bina Small writing ke. Aap bhi bhot website pr gye honge pr aap vhaa jaake siddha T&C and Privacy Policy ko pde unpr click kr dete hain. Pr aap humari T & C or Privacy Policy Aram se pd ske or smjh ske is liye humne aapki favorite Language mei likha hai vo bhi bde bde size mei.